|
"Sri
Satchitanand Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai"
(DOHA).
Aadi
adhar na pa kar naath ke , aadi naath kahe paataal,naath
naath jag kahe,
jagan nath kahe bhoolok,aant na tera jaan ke, annant naath
kahe swarglok,
aaisee param shakti ko ,vintee karay brahma vishnu mahesh,
naath nathon ke ek
naath hain ,aiso kahe navnaath aise naath ko jag kahe jai
jai sainaath.
sri sachdanand sadguru sai naath mahraj ki jai.
(MAHIMA)
1.
Shri sai baba sai baba ,tumhi ho
daata ek vidhata, tumhi the iisa issaiyon ke,
naam palatkar ban gaye sai, hinduon ke tumee ho sriram sai
ram kah sabhee pukaren,
masjid mein tujh ko allah pukaren, nanak ghoonje har
gurudwara,
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
2.
koi na jaane tera bachpan ,saal poore solah tak , jag
uddhar ke liye prakat
ho gaye gaanv shridi mein, datta jaise kiye guru anek ,kabir
gopal aur jaaver,
lallan palan kiye thhey gopal ,satya e diksha poori dee,
diksha siksha paakar
poori, sai baba ban gaye sai shri ram ban gaye sai iisu
ban gaye, sai allah ban
gaye sai nanak ban gaye,sai jagat mein chha gaye,
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
3.
virkhsh neem thha tera aashram ,lendi jangal tera bageecha
,poshak teree
fati kafni sir ko saaje ek saafa, karon mein tere chhadi
va krmandal, charnon
mein tere jirin paaduka,roop tera hai manohar vaani jaisee
murli manohar,
nayan hai teray prem say bharay, hirday hai tera daya say
bhara, pathar hai
tera sinhasan, chhithra gooni tera aasan, jeeern gooni
tera bistar ,eeet hi tera sirhana,
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
4.chaand
bahi patil aaye balak sai baba ke paas, khoi ghori day kar
baba
chimte say chillam jala diye, malsapati ko gyani bana kar
nana ko diya
geetaupdesh, bayja bai ne udrat kar lee day kar khana tujh
ko nirantar, dason ke daas
hai das
ganoo, ban gaye tere kirtankar, abdullah ne kee badi sewa
tan man de kar tujh ko apna.
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
5.
kadvay neem ko meetha kar ke, sidhhi pahili kayam kee ,tel
na paa kar paani
hi say jyoti uttam jalayee, neem kee pati dooni say udhhi,
sab ko hardam
dete thhey, shakti in mein aisee hoti,dukh saara har letee
thhee, bhiksha laa kar paanch
gharon say usay sab ko dete thhe, aisay ussay dete rahte
jo khatam na hotee thhee,
teray saathi deen dukhi jan aandhay langday shoodra va
rogi, tumhi thhay un kay sachay
saathee maat pita wah guru parmatma. aise baba jag mein
aaye jin kee mahima koi na jaane.
6.
kushthh rogi bagoji shinde,aayee sai baba ke paas , jeevan
bhar nij sewa
mein rakh kar, unke rog ko haran liya, aamlipit rog wah
haizaa, say baday
hee peedit thay booti, dhooni say udhi dayker baba unko
rog say muukt kiya, aatisaar kee beemari
thee kaka mahajini ko, swasthh kiye unko baba moongfali
khila kar, baday hee peedit
theay shyama, bavaseer rog say, daya kay saagar sai nay,
haran liya bavaseer ko, chowdah
varshon kay udhar rog say thay baday peedit dattopant,
harda ke aise dukhi ko dekhkar
unko rog say mukt kiya, bheemaji paatil mahanubhaav thee
narayan gaaon ke
shay rogi, aise bhyankar rog ko door kiya jagishwar ne.
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
7.
aajanu bahu ban kar aaye , vishva ko ashish dene ko, teeno
lok ne ashsh
paayee aise ajanu bahu say ,pooray vishva ki raksha karne,
raat din baba jaagte
thay apni neend vah sab kuch tyagkar ,bahut he sewa karte
thay , shirdi
shetra mein rah kar baba vishva ki mahaan sewa kee unsay
bad kar mahaan tyagi koi na vishva
mein janam liya, dwarkamai masjid thee,gurkul jaise gyan
ashram gyaniyon ka mela
thha hardam saiishwar ke paas,desh videsh say aakar log
gyan vah bahgti paate thee, poorna
gyani saiishwar sab ko sab kuch dete thay bhgawat geeta ko
samjaya deputcollector
nana ko, vishnu sahistnaam ko samja kaka sahib dixit ne,
naath baghwat ko padte thee saiishwar
say hemandpant, dixit jog vah b.v.dev ne gyaneshwari ka
gyan liya,gur charitra kaa paath karaya
sri saathe say sai ne, upnishdon ka aarth bataya nij
premiyon ko baba ne , kuraan sharif ke
tatva ko samja abdulla ne sai say, sai premi mooulvi
faatiha ko padte thay.
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
8.
latka kar ghanti masjid mein, masjid mandir ek kiye, namaj
puja ban gaye
ek, muslim hindu ho gaye ek, yeh hai agnee parsi ki yeh
hai dwar gurdwara,
ayse sai baba kah kar vibhin jaati ko ek kiye.
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
9. vishwa roop ka darshan
diya, nijh bakton ko sai ne, poorna khandoba thay
sai, mhalsapati kahte thay, ramdasiyon ne dekha,
shirdishwar main ram
ko,pandarinath ka darshan diya, das ganu maharaj ko,
srishti palak vishnu ko
dekha niyayadish rege ne, kailash pati shiv ko dekha,
saishwar main megha
ne, dashavtaron ne darshn diye, dwarkamai masjid main,
aise darshan naath
main pakar, naath ko vishwa ne maan liya. aise baba jag
mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
10.
alap aayu hi main baba, swecha maran pesh kiye, aadhi
shankar jaise
baba, deh apna tiyag diye, dhiraj vishwas prem se, sabne
us ki raksha ki,
thik tisre din ke baad, jagrit ho gaye sai naath, jagrit
ho kar jagriti kar
di, har manav ko apni aur. aise baba jag mein aaye jin kee
mahima koi na jaane.
11.
mhalsa pati tatya patil, bade hi tere premi thay, sote
jagte chalte
phirte, saath hardam rahte thay, laxmibai mahalaxmi, nitya
seva karti thi,
dekar unko rupaye nau, sari bakti de diye, vish se pirit
shyama aaye, aise
sai baba ke paas, vish ko turant door kiye, bhole shankar
sai ne, pran
bachai maindak ne, apne shatru ke mukh se, tha vah hukum
baba ka, taal na
koi sakta tha. aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi
na jaane.
12.
h.s dikshit m.b reghe, bade hi shikshit giyani thay, kuchh
na pakar desh
videsh main pas baba ke aaye, aisi hasti shakti dekhi,
arpan apne ko kar di,
maharogi ban kar aaye, kashi naath upasni,baba nirog kar
diye, upasni,
maharaj ban gaye, premi baybit ho uthe , jab haija aaya
shrdi main,
dindayalu sai ne door kiya us haije ko. aise baba jag mein
aaye jin kee mahima koi na jaane.
13. nagpur ke baday hi
dhani gopalrao booti thay, krishna murlidhar ke liye
booti vaada banayee, yeh hai esthaan sone ka mera aisay
baba kahite thay jo
bhi kahtay sai baba hardam woh hi hota thha unees sao
athharah ke dashra kay
dashmi mein, mangalwar kay din baba, jab bayasi saal ke
lagte thay lag bag
dopahar adhhai baje, shirdi kee masjid mein,
BABA
SACHMUCH SO GAYAY DUNIYA KE LIYE SO GAYAY , PAR BABA
SARVATRA CHHA
GAYAY,
HARDAM KAY LIYE CHHA GAYAY, MASJID MEIN VAY CHHA GAYAY,
SHIRDI MEIN
VAY
CHHA GAYAY, BABA SAB MEIN CHHA GAYAY,SAB KAY HIRDAY MEIN
CHHA GAYAY.
aisi
baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
14.
chhayey hooay jaggte sai, ab bhee baba jaagte hain, sabhi
dekhein poorayvishwa
mein ab bhi baba jaagte hain, sai baba hain satya aatma ,poorna
aatma parmatama,
sai baba kahte bhi thay yohi, mein hoon aatma parmatma,
aaise naath kee deh
ko paane mein ho gaye baday matbed, hindu kahe hindu thay
baba muslim kahay
thay baday peer, es kaa nirnaya ho nahi paya,naath kee deh
ko paa gayey
hindu, naath paray thay iis jaatee bedh say jaise paray
hai parmatama.
aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.
15.
hindu muslim sikh eessai nay, adhbut samaadi banaee, es
samadhi mein
bhed na koi jaat paat wah oonch neech ka, shyam sunder
tera ghoda bada hi
tera premi thha, shridha bhagti wah prem say tujh ko
pranaam karta thha,
shirdi wasiyon ney dekha samadhikal kay baad bhi ,ashroodhara
baha kar
samaadi ko pranaam karta thha, satya hai naath ka kathan
mein hoon jagrit
samadhi par, es ki gawahi detay hai sai apni vishaal
moorti say, aisee
moorti banayee talim, bambai kay murtikaar, jis kee sthpna
kee thi unees sao
chovan mein ahmadabad kay badey hi premi ,sai sharanand ne,
baba hai jagrut
jadh chetan mein, paayee to uun ko safal hai jeevan,naath
ko paa kar sab kuchh payee, uun ko na
paa kar kuchh bhi na paayee, sai sevak guru NARAYAN kahe>
ANANANT MAHIMA KI YEH
CHHOTI MAHIMA, jo bhi padhay nitya nirantar, sab kuchh
payee sai krupa say,
sai krupa say sai krupa say, sab kuchh payee sai krupa
say. sai krupa say
sai krupa say(repeat 5 times). sabh kuch paayee sai krupa
say.
SRI
SACHIDANAND SADGURU SAINAATH MAHRAAJ KI JAI.
|